Gham me hasne walo ko kabhi rulaya nahi jata,
lehro se pani ko hataya nahi jata,
hone wale ho jate hain khudhi dil se apne,
kisi ko kehkar apna banaya nahi jata
Hum wo ishq hain jo dil bankar dhadakte hai,
hum wo khushbo hain jo baho mein mahakte hain,
humse pyar na karna e-zalim hum vo dard hain jo ankho
se chalakte hain
Dosti se aaj pyaar sarmaya hai,
Teri dosti ne humein jina sikhaya hai,
Kya mange khuda se hum,
Woh to khud aaj mere dar par,
Teri dosti mangne aaya hai.
Har ek se achi baat karna FITRAT hai hamari,
har ek khush rahe ye HASRAT hai hamari,
koi hum ko yaad kare ya na kare,
har ek ko yaad karna aadat hai hamari
Phool se pehle khusboo ko to dekho,
karne se pehle kaam ko to dekho,
kisike roop mein diwana naa bano,
Aap ka ashiyana dil mein basaya hai,
apki yado ko sine se lagaya hai,
pata nahi yaad apki hi kyo aati hai,
dost to hamne auro ko bhi banaya hai